AWA

Aankh Uthi Mohabbat Ne

0
0
  • 2017.03.16
  • 4:52
AWAで聴く

歌詞

Tanhai me faryad to kar sakta hu Weerane ko abaad to kar sakta hu Jab chahun tumhen mil nhi sakta lekin Jab chaahun tumhen yaad to kar sakta hu Achi soorat ko sanwarne ki zaroorat kya hai Saadgi me b qayamat ki ada hoti hai Tum jo aa jate ho masjid me ada karne namaz Tum ko maloom hai kitno ki qaza hoti hai Mene masoom baharon me tumhen dekha hai Mene purnoor sitaaron me tumhen dekha hai Mere mehboob teri parda nashini ki qasam Mene ashkon ki kitaaron me tumhe dekha hai Aaj ki baat phir nahin hogii Yeh mulaqaat phir nahi hogii Aise badal to phir bi aayenge Aisi barsaat phir nahi hogi Raat un ko b yuh huwa mehsoos Jaise yeh raat phir nhi hogi Ik nazar murke dekhne wale Kya yeh khairat phir nahi hogi Chaandni raat raad aati hai Woh mulaqaat yaad aati hai Dekh kar un ghaneri zulfon ko Mast barsaat yaad aati hai Aankh uthi….Lo….Wo…Aankh uthi…. Ankh uthi mohabbat ne angrai li Dil ka sauda huwa chandni raat mein Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya lutt gaye hum to pehli mulaqat mein Un ki nazron ne.... Nazron ne(X3) Un ki nazron ne hum pe aesa jadoo kiya Khud tarap kar un ki jaanib dil gaya Un ki nazron ne hum pe aesa jadoo kiya Sharab seekh pe daali kabab sheeshe mein Aesa jadoo kiya un ki nazron ne hum pe aesa jadoo kiya Hum hosh bhi apne bhul gaye Imaan bhi apna bhul gaye Hum hosh bhi apne bhul gaye Imaan bhi apna bhul gaye Ik dil hi nahi us bas mein Hum na jaane kiya kiya bhul gaye Ik dil hi nahi us bas mein Hum na jaane kiya kiya bhul gaye Jo baat thi unko kehne ki Wo baat hi kehna bhul gaye Jo baat thi unko kehne ki Wo baat hi kehna bhul gaye Gairon ke fasane yaad rahe Hum apna fasana bhul gaye Aesa jadoo kiya Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya Kya kya nigah yaar me taseer ho gayi Bijli kabhi bani kabhi shamsheer ho gayi Aisi mili hai apni nazar us nazar k saath Sab chornay pary hain mujhe umr bhar k saath Mehfil mein baar baar uni par nazar gayi Humne bachai lakh magar phir udar gayi Unki nigah mein koi jadoo zaroor tha Jis par padi usi ke jigar mein utar gayi Aesa jadoo kiya Unki nazron ne hum pe aisa jaddo kiya Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya Lut gaye ham toh peheli mula qaat mein Saath apnaa wafaa mai na chootay kabhi Pyaar ki dor bandh kar naa tootay kabhi Choot jaye zamaana koi gham nahi Haath teraa rahey bas mere haath mai Choot jaye zamaana koi gham nahi Haath teraa rahey bas mere haath mai Rut hai barsaat ki dekho zid mat karo Raat andheri hai baadal hain chaaye huey Ruk bhi jao sanam tum ko meri qasam Ab kahan jaaoge aesi barsaat mein Ruk bhi jao sanam tum ko meri qasam Ab kahan jaaoge aesi barsaat mein Ruk bhi jao sanam tum ko meri qasam Ab kahan jaaoge aesi barsaat mein Hai teri yaad is dil se lipti hui Har ghari hai tassawur tere husan ka Teri ulfat ka pehra laga hai sanam Kon aayega mere khayaalaat mein Teri ulfat ka pehra laga hai sanam Kon aayega mere khayaalaat mein Ankh uthi mohabbat ne angrai li Dil ka sauda huya chandi raat mein

このページをシェア

Ustad Nusrat Fateh Ali Khanの人気曲

Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
の他の曲も聴いてみよう
AWAで他の曲を聴く
はじめての方限定
1か月無料トライアル実施中!
登録なしですぐに聴ける
アプリでもっと快適に音楽を楽しもう
ダウンロード
フル再生
時間制限なし